Blog

Namaz ki Niyat

Namaz ki Niyat

Sab se pehlay to ham Allah ka shukar adaa kartay hain ke Us ne hamain ek Islam par chalnay walay ghar main paida kia. Shukar Alhamdolillah.

Allah ne musalmanon par ek din main 5 namazain farz ki hain. Iss liye ham din ke mukhtalif oqaat main 5 dafa azaan suntay hain.

Azan suntay he ham par namaz farz ho jati hai. Aur sab se pehlay ham dil main niyat kar lety hain Allah ke huzoor namaz waqt par adaa karnay ki. Is ke baad ham jismani tor par namaz ke liye tayar hotay hain. Jesa keh hamaray Piyaray Nabi Hazrat Muhammad SAWW ne farmaya keh,

“Safai Nisf Emaan Hai”

Is liye hamain har waqt khud ko paak aur saaf rakhnay chahiye taa keh hamaian namaz e panjgana adaa karnay main koi diqat na ho.

Apnay jism ki safai aur pakeezgi ko yaqeeni bnanay ke baad jesay he ham azan suntay hain to ham wuzu kartay hain.

Sunnat tariqay sy wazu krnay k liye hatho ko 3 bar dhoty hai 3 bar kurli krta hai 3 bar naak saaf krta h naak ma pani daal kr phr apny chehry ko 3 bar achy tariqy sy dhotay hain. Phr 3 bar aapni bazu ko kohniyon tk dho kar massah krtay hain. Phr kaano ka massah garden ka massa or aakhir mai pao dho kar ham baa wuzu ho jatay hain jo keh namaz ki taraf hamara pehla qadam hai.

Khawateen ghar main kisi saaf aur paak jaga ka intakhab krti hain jahan saaf kapra bicha kar namaz ada kar sakain. Aur mard hazrat namaz ba jama’at ada karnay k liye masjid ki taraf jatay hain.

Koi b namaz bagair niyat k qaim ho hi nahi sakti. Zuban sy niyat krna lazmi nhi lekin agr zuban sy bhi niyat kr li jy to bhi thek hai. Is ke ilawa Arbi zuban main niyat krna bhi lazim nhi aap apni zuban mai b niyat kr skty hain missal k tor par

Asar k 4 Farzo Ki Niyat

Niyat krta hun 4 farz rakat namaz asar wasty Allah Tallah k waqt namaz asar rukh mera kaabah shareef ki taraf Allah ho Akbar. Agr tanha namaz parh rahy hun to amaam k pichy khary hony ki niyat na kryn. Lekin Imaam ke muqtadi honay ki Niyat zrur krain.

Allah Ta’ala hamain hamaray sachay deen par hamesha qaim rehnay ki toufeeq ataa farmaye aur hamain 5 waqt ke sachay aur pakkay namazi bnaye. Ameen

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *